Urdu shyari

Agar maaloom hota ishq yun majboor kar day gaa..
Bohat pehlay hee iss aafat sey tauba kar chukay hotay




Daikh mera Aashiyana bhi khaali hai tere DIL ki tarha…
Tum Rakh Na Sako Gy Mara Tofa Sambal Kr



Mien Tum Ko Abi Dy-doon apni Rooh Nikal Kr…!!
Kabhi ye marhala jaise k aashnayi na thi



Kabhi ye haal k dono main yak-dili thi Mohsin
Kabhi ye marhala jaise k aashnayi na thi


Dil k ata hi nahin tarak e tamna ki taraf,
Koi iqrar ka pehlo tere inkar me tha.



Dhoka na tha nazar ka to pherae shab e daraz,
Wo halke halke subh k asar kia hoe.



Dast e talab bharao magar ehtabar se,
Hai sakhar e hiyat me sim bhi ghola hoa.



Khod dar ne yon sar na jhokane dia shakeel,
Hasrat se un ka naqash e qadam daikhte rahe.



Khod tha khawab e adam bhi danish,
Dil ki dastak ne jagaea hum ko.



Khod ko har bazam e masarat me samo kar daikha,
Rooh ka dukh na gea qalab ki wehshat na gai.



Khod dar hon kion aon dar e eahal e karam par,
Kheti kabhi chal k ghata tak nahin ati.



Hadsa jo abi parda e aflaq me hai,
Akas us kamar e aina adrak me hai.



Hazor e yar hoi daftar jinon ki talab,
Girah me le ke gariban ka tar tar chale.



Husan o shoq ki laag me aksar cher odhar se hoti hai,
Shamah ka shohla jab lehraya urr k chala parwana bhi.



Harf e matlab zuban pe kion aen,
Ye to izhar e arzo ho ga.



Charaghe zindagi ko aik jhonke ki zarorat hai,
Tumhen meri qasam hai phir zara daman ko lehrana.

Tamaana lay gaye mujhy pakay makan ke asim
Mein apny gaon k katchay makan sy be geya.



Yun to mai kahta dil ki har ek baat usse \’Rahid\’
agar wo ek baar mujhse milne ko taiyar hoti…!



Phir Wohi Khwaab Se Toote Hai Meri Aankhon Mein,
Phir Wohi Dard Ki Talkhi Hai Meri Baaton Mein………..!



Qaid tha dil mein tera hi dard taa-umr ke liye
Mar rahi thi har aarzoo dard ke Is safar main..!!



Pehli Mulaqaat Thi Aur Hum Dono He Be Bass Thay
Wo Zulfain Na Sambhal Paye Aur Hum Khud Ko



Is qadar qeemti to na tha mera chain-o-sukoon.
Loot kar le gaya wo kisi anmol khazane ki tarah…!



Wo aaj b mujhey sotey mein dasney aaye ga…
Wo jaanta hai khilta hai mujh pey zeher ka rang…!



khareed sakte unhe toh apni zindagi dekar bhi khareed lete,,,
par kuch log “KEEMAT” se nahi “KISMAT” se mila karte hain…!!



Chahat per pabandi kyu hai?dunia itni andhi kyu hai
Andhu me andha ban jana mumkin hai asan nahi..



Aik tum hi na mill sakey werna
Millny waly Bichar Bichar k milly



Barri Haseen Thi zindgi Jb Na Kisi Se Mohabbat Na Kisi Se Nafrat Thi….

Zindgi Main Ik Aisa Morr Aaya k Mohabbat Aik Se Hui Or Nfrat Duniya Se Ho Gayi..



AAj fir Tumhari Yaad ne Cheen Liya Hosh-o-hawaas mere,
Pagal ho jayenge hum agar ye sil sila jaari raha.



tuu meraa kuchh nahin lagataa hai magar jaan-e-hayaat
jaane kyon tere liye dil ko dhaDakataa dekhuuN



tumhey meri mOhabbat ki kAsam sUch sUch batana…!!
gale mAin banhain daAl kr mAnana kis se sEekha hai..!!



Kis qadar ehtamaam krte ho
Dil dukhana SAWAB ho jese…!!


2 Lines Poetry

Janay us shakhs ko yeh kesa hunar aata hai,
Raat hoti hai to aankhon mei utar aata hai….



Two Lines Urdu Poetry

Ussay kehna palkon per na tankay khawab k jhallar
Sumandar k kinaare ghar bana kar kuch nahi milta



Rootha agr tujh sy to is andaz say rothon ga…
Tere shehar ki matti b mery wajod ko trsey gi…



?’Kabhi ZarOrat Pary tO Awaz De Dena.
‘Main Guzra Hua Waqt nahi Jo Wapis na aaun..



hum muskrane walo ko khush naseeb na sumjo
khuch log muskrate hen ghum chupane k liyeee



Two Lines Poetry

Tu khamosh kiun hai ye to maloom nhi magar
dil doob sa jata hay jub tu khamosh hota hai.



Har Taraf Raah Main Thay Kaanty Bichay Huay…..
Mujh Ko Teri Talab Thi, Guzarte Chale Gaye…..



Chalo Ke Aaj Koi Bachpan Ka Khel Khelein Hum,.
Badi Muddat Hui Be-Saktha Haas Kar Nahi Dekha.



Ik Muhabbat Ka Mashghala Le Kar..!
Zindagi Khoob Ki Tabaah Hum Ne..!



Ahsas-e-M0habbet Ke Liye Bus Itna Hi Kaafi Hai
Tere Beghair Bhi Tere Saath Rehti Hoon..!!!!

0 comments:

Post a Comment